sham ka baadal nae nae andaz dikhaya karta hai
kabhi wo nanha bachcha ban kar mere samne aata hai
kabhi wo apna KHun baha kar mere ji ko Daraata hai
kabhi kisi hansmukh aurat ki tarah mujhe bahlata hai
phir aankhon se ishaara kar ke kamre mein chhup jata hai
isi tarah wo nae nae andaz dikhaya karta hai
jab koi us ko ghur ke dekhe naz dikhaya karta hai
Nazm
Main aur baadal
Muneer Niyazi