parindon se sabaq sikha shajar se guftugu ki hai
sawad-e-jaan ki KHamoshi mein Thahre
abr-e-tanhai ki udi zard chadar par
shua-e-yaad ke hathon likhi har be-nawa lamhe ki puri dastan
main ne paDhi hai
nashat-angez raaton aur KHwabon ke shafaq-alud chehre ko
jhulaste din ki KHira-kun faza mein
ek umr-e-raegan ke aaine mein mahw ho kar kab nahin dekha
baras guzre ruten biti watan se be-watan hone ki sari bebasi jheli
main barfani ilaqon margh-zaron wadiyon aur regzaron se
nishan-e-karwan chunta sada-e-raftagan sunta hua guzra
kahan mumkin tha lekin main ne jo dekha suna wo yaad rakkha ajab ye hai
nahin gar hafize mein kuchh to wo ek nam hai tera
KHabar kab thi ki bahti umr ki sarkash rawani mein
mujhe jo yaad rahna chahiye tha
main wahi ek nam bhulunga
parindon aur peDon se jahan bhi guftugu hogi
tumhaara zikr aate hi dhundalke
zehn mein ek mauja-e-tarik ban kar phailte jaenge
aur ye hafiza mafluj aankhon se mujhe
ghurega chillaega
KHauf-e-KHud-faramoshi se tum Darte the lekin ab
maal-e-KHud-faramoshi se tum kaise nibhaoge
ghubar andar ghubar angDaiyan lete hue
raste mein jo kuchh kho chuke ho us ko kaise DhunD paoge
ye lazim to nahin hai, ek an-bujhi paheli jab achanak yaad aa jae
use har haal mein har bar bujhoge
tum apne aap se kab tak kisi ka nam puchhoge
Nazm
Main apne aap se kab tak tumhaara nam puchhunga
Jameel ur Rahman