zamane kho gae aainda o rafta ke mele mein
zaminen gum huin paikar-e-has-o-nist mein aisi
koi naqsha makanon aur makinon tak
pahunchne ka zariya bhi nahin banta hai
taswiren ab apni bastiyon mein
dam-ba-KHud sahmi hui nadim paDi hain
main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
to kuchh aansu ke qatre jhilmilate hain
fasurda gum-shuda chehre
ghubar-e-na-shanasai mein
kuchh dhundle hayyulon ki tarah
fariyaad karte hain
waraq albam ke guzre mausamon
maghmum aankhon train ki khiDki se
hilte hathon pichhe chhuTti aabaadiyon
ko yaad karte hain
main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
kisi dasht-e-faramoshi mein
sukhe peD par
ek aaKHiri patte ki surat
sare lamhe mujh ko tanha chhoD aate hain
main is tanhai ke jangal mein
larzan dil-pareshan raqs karta hun
main KHud ko bhul jaane ka
yaqinan (hausla baqi nahin hai)
swang bharta hun
Nazm
Main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
Ain Tabish