main aksar sard raaton mein
zamin-e-KHana-e-dil par
akele baiTh jata hun
phir apna sar jhuka kar yaad-e-ahd-e-raftagan dil mein sajata hun
KHayal-e-mazi-e-dauran mere is jism ke andar ajab tufan uThata hai
hazaron mil ka lamba safar paidal karaata hai
main yaadon ke dhundlakon mein tumhaare naqsh-e-pa ko DhunDne jab bhi nikalta hun
to ek tarik wadi mein utarta hun
jahan yaadon ki kuchh be-rang taswiren mujhe bikhri paDi malum deti hain
mujhe aawaz deti hain
ki wahshat ka ye jangal bahen phailae bulata hai
mera shauq-e-nazar thak kar zamin par baiTh jata hai
achanak jab tumhaari yaad ke wahshi jaanwar aawaz dete hain
main Darta hun
ki jaise koi bachcha apne hi sae se Dar jae
koi shisha bikhar jae
koi furqat mein ghabrae
mere tar-e-nafas par zarb karti mustaqil dhaDkan
mujhe rukne nahin deti
mujhe thakne nahin deti
ye bechaini mujhe phir ek safar par le ke aati hai
main chalta hun
ki jaise ek musafir baad muddat apne ghar jae
ThiThurti sard raaton mein
koi jaise ki jam jae
ki jaise sans tham jae
magar mere muqaddar mein
sukun-e-qalb-o-jaan kab hai
nigah-e-yas mein mubham sahi koi nishan kab hai
kahin par shorish-e-amwaj-e-dariya hai
kahin aawaz-e-qulqul hai
magas ka shor hai sarsar saba ki aah-o-girya hai
so dil apna machalta hai
kisi se kab bahalta hai
dhuan uThta hai dil se aankh mein tufan machalta hai
tabiat zor karti hai
ye dhaDkan shor karti hai
tumhaari yaad ke ye chiKHte aur piTte lamhe
mujhe rone nahin dete
mujhe sone nahin dete
Nazm
Main aksar sard raaton mein
Qamar Abbas Qamar