اردو हिंदी
Main aa raha hun | Shaahi Shayari
main aa raha hun

Nazm

Main aa raha hun

Sufi Tabassum

;

main jaanta hun
ye raat ko chupke chupke KHwabon mein

yun tera bar bar aana
wo sahme sahme hue se rukna

wo be-kasi mein qadam uThana
wo hasrat-e-guftugu mein tere

KHamosh honTon ka tilmilana
samajh gaya hun

ki mujh se milne ki aarzu
tujh ko kaise be-tab kar rahi hai

magar meri jaan!
tu aisi manzil pe ja rahi hai

jahan se pichhe ko
lauT aane ka koi imkan hi nahin hai

to phir kya hoga
jahan ye be-roz-o-shab ke itne

tawil lamhe guzar gae hain
kuchh aur dil ko zara sambhaalo

kuchh aur abhi intizar kar lo
main aa raha hun

main aa raha hun