tu bhi taqdir nahin dard bhi painda nahin
tujh se wabasta wo ek ahd wo paiman-e-wafa
raat ke aaKHiri aansu ki tarah Dub gaya
KHwab-angez nigahen wo lab-e-dard-fareb
ek fasana hai jo kuchh yaad raha kuchh na raha
mere daman mein na kaliyan hain na kanTe na ghubar
sham ke sae mein wamanda sahar baiTh gai
karwan lauT gaya mil na saki manzil-e-shauq
ek ummid thi so KHak-basar baiTh gai
ek do-rahe pe hairan hun kis samt baDhun
apni zanjiron se aazad nahin hun shayad
main bhi gardish-e-gah-e-ayyam ka zindani hun
dard hi dard hun fariyaad nahin hun shayad
zer-e-mizhgan tapish-e-ah ke pighlae hue
DabDabaate hue taron se mujhe kya lena
tere aansu mere daghon ko nahin dho sakte
tere phulon ki bahaaron se mujhe kya lena
apne anjam ki tashwish ab aainda nahin
Nazm
Mahrumi
Akhtar-ul-Iman