main kahta hun tum se agar sham ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara na dekha
to is par tajjub nahin hai na hoga
azal se isi Dhab ki paband hai sham ki zahira be-zarar shoKH nagin
ubharte hue aur lachakte hue aur machalte hue kahti jati hai aao mujhe dekho main ne
tumhaare liye ek rangin mahfil jamai hui hai
anokha sa aiwan hai har taraf jis mein parde gire hain wahan jo bhi ho us ko
koi nahin dekh sakta
tahen is ke pardon ki aise lachakti chali jati hain jaise phaili hui sath-e-dariya ne
uTh kar dhundalke ki manind pinhan kiya ho faza ko nazar se
zara dekho chhat par laTakte hain fanus apni har ek nim-raushan kiran se sujhate
hain ek bhed ki baat ka git jis mein masahri ke aaghosh ki larzishen hon
sutunon ke pichhe se aahista aahista rukta hua aur jhijakta hua chor saya yahi kah raha
hai wo aae wo aae
abhi ek pal mein achanak yunhi jagmagane lagega ye aiwan yaksar
har ek chiz kaise qarine se rakhi hui hai
main kahti hun mano chalo aao mahfil saji hai
tum aao to gunj uTThe shahnai dalan mein aane jaane ki aahaT se hangama paida
ho lekin masahri ke aaghosh ki larzishon mein tumhein is ka ehsas
bhi hone pae to zimma hai mera
azal se is Dhab ki paband hai mauj-e-betab us ko KHabar bhi na hogi ki ek shaKH-e-nazuk
ne bebak jhonke se Takra ke aahen bhari thin
magar main ye kahta hun tum se agar shad ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara
na dekha to us par tajjub nahin hai
azal se isi Dhab ki paband hai sham ki shoKH nagin
ye Dasti hai Daste hue kahti jati hai
jao agar tum jhijakte rahoge to
har lamha yaksan rawish se guzar jaega aur tum dekhte hi rahoge akele akele
tumhein daen baen tumhein samne kuchh dikhai na dega faqat sard diwaren hansti rahengi
magar un ka hansna bhi aahista aahista bite zamane ki manind ek dur ki baat malum hone lagega
dhundalke mein Dubi hui aankh dekhegi rauzan se dur ek sitara nazar aa raha hai
magar chhat pe fanus ka koi jhula na hoga
shikasta fatada sutunon ki manind farsh-e-hazin par tumhaara wo saya taDapta rahega jise
ye tamanna thi kah dun tamanna kya thi
bas ab apni ghamnak baaton ko apne ubharte hue aur badalte hue rang mein tu chhupa le
main ab manta hun ki tu ne rawani mein apni bahut dur rauzan se dhundle
sitare bhi dekhe hain lakhon
main ab manta hun meri aankh mein ek aansu jhalakta chala ja raha hai Tapakta nahin hai
main ab manta hun mujhe daen baen mujhe samne kuchh dikhai nahin de raha hai faqat
sard diwaren hansti chali ja rahi hain
main ab manta hun ki main ne is aiwan ko aaj tak apne KHwabon mein dekha hai lekin
wahan koi bhi chiz aise qarine se rakkhi nahin hai
ki jaise bataya hai tu ne teri ek rangin mahfil saji hai
masahri ke aaghosh ki larzishon ka mujhe KHwab bhi ab na aaega main apne
kanon se kaise sununga wo shahnai ki gunj sindur
ka surKH naghma jise sun ke dalan mein aane jaane ki aahaT
se hangama ho jata hai ek pal ko
mujhe to faqat sard diwaren hansti sunai diye ja rahi hain
Nazm
Mahrumi
Meeraji