mere pyare sogwar
mujhe malum hua hai
ki tumhaare logon se zinda rahne ki jagah
aur haq chhine jaane ke bais
tumhaara dil KHairiyat se nahin raha
mujhe malum hua hai
ki tumhaare bahaduron ko dhup se bachane wali Topiyan
un ke KHun se surKH aur tumhaari sabir auraton ke chehre
gham ki shiddat se siyah ho chuke hain
mere bhai zaitun ke daraKHton par lage phul
aur tumhaare phulon jaise bachchon se umaDne wali
KHushbu barud aur dhuwen ki bu mein
badal chuki hai
aur mere dost
suna hai tumhaare sar par hath rakhne wale
ab unhin hathon se tumhaare pairon ke niche zamin khinch rahe hain
abhi is KHat ko likhte hue aisa laga
jaise koi darwaze par hai
main ne darwaza khola
to bahar dur tak kuchh na tha
na koi imarat na koi ghar
na koi mausam na koi din
na koi shaKHs na koi saya
na koi gham na koi aansu
sirf sunana aur KHamoshi
main ne apne dil ka darwaza band kar liya
aur wapas aa gaya
yahan tamam log mom ke sipahiyon
aur aansu zahrili muskurahaTon mein tabdil ho gae hain
mahmud darwesh
tumhein tasalli dene aur tumhaare logon ki himayat mein kahne
ke liye mere pas siwae ek namnak KHamoshi ke
kuchh bhi nahin
ya kuchh log jo meri tarah
apni mezon ki band darwaze ke samne baiThe
un ke KHud-ba-KHud khulne ya kisi aur na hone wale moajize ke muntazir hain
Nazm
Mahmud darwesh ke liye KHat
Zeeshan Sahil