ghar mein daKHil hote hi
hum KHud ko aawazen dene lagte hain
aur kapDon se bhara shopping bag
phenk dete hain bed ke niche
rakhte hain apne jute sofe par
aur almari ke daraaz se kachche amrud nikal kar
bed-sheet se ragaDte hain
aur katarne lagte hain chaar din purane biscuit
jab bhi nazar paDti hai aaine pe
KHud ko galiyan dete hain
TV se Ton Ton ki aawaz aane par
remote ke sat TukDe kar ke
billi ke aage Dal dete hain
credit KHatm ho jaane par
cell-phone pe shirin lahje wali doshiza ko
khari khari sunate hain
aur freeze ke nichle darwaze ko zor se band kar ke
KHali owen mein so jate hain
Nazm
Mahine ke aKHir dinon mein
Sidra Sahar Imran