meri mahbuba
un mahbubaon mein se nahin
jo kisi zalim railway engine ki tarah
kamzor pulon par se
puri raftar ke sath guzarti hain
ya saDak banane wale roller ki tarah
har chiz apni mohabbat ke tarkol mein
pighlati aur jamati chali jati hain
aur na hi meri mahbuba
un mahbubaon mein se hai
jo apne aashiqon ki yaad mein
kisi jazire par koi light-house
ya safede ke daraKHton mein ghira
koi charch tamir karwati hain
meri mahbuba to hai
granite ka ek pahaD
jis ke daman mein phul nahin rakhe ja sakte
aur jis ke samne koi aansu nahin baha sakta
meri mahbuba to hai
tanbe ki ek kan
jab wo soti hai
to is ke ghar ki diwaren
bahar ka farsh
aur ghar ke samne laga hua fawwara
surKH ho jata hai
Nazm
Mahbuba
Zeeshan Sahil