dur kahin
koyal ki ku-ku gunj rahi hai
nil gagan pe kale baadal Dol rahe hain
aur kheton mein pagli pawan
hare-bhare makke ke mukh ko chum rahi hai
ek aashiq jo mahbuba se bichhaD gaya hai
unchi faslon bans ke jhunDon mein wo us ko DhunD raha hai
kash ki mera ganw ho aisa
mahbuba bhi aisi ho
rang-birangi titliyan uD kar jis ka pata batati hun
Nazm
Mahbuba bhi aisi ho
Abu Bakr Abbad