mahbuba aur maut mein ek mumasalat hai
ki mujhe donon se mohabbat hai
ai maut kya bataun ki
tere jaisa kaun hai
ki jis se mujh ko pyar hai
ki us pe sab nisar hai
main chahta hun us ko bhi
teri tarah teri tarah
han wo bhi tere jaisi hai
main DhunDhta hun donon ko
KHalaon mein fazaon mein
ai maut ab kahan hai tu
kidhar main DhunDhta phirun
kabhi qarib aae to
kabhi han muskurae to
magar na samjhe mujh ko to
na e'tibar mujh pe ho
to baat mane auron ki
tabib ki hakim ki
kahin jo ghair sun le to
sune na meri baat to
ajib baat hai bhi ye
lagao na gale kabhi
na de mujhe to pyar hi
ye kaisi bebasi meri
na to mile na prit hi
ye donon ek jaisi hain
mujhe samajhti hi nahin
Nazm
Mahbuba aur maut
Akhlaq Ahmad Ahan