ek KHushbu si basi rahti hai sanson mein mere
husn ka dhyan bhi KHud husn ke manind hasin
pas ho tum to ye qudrat hai mohabbat jage
dur hone pe bhi ehsas ka rahna hai yaqin
lamha har sath mein lata hai hazaron duniya
bund ki kokh mein jyun indr-dhanush rahta hai
kitne bhi gahre andhere hon tumhaara jadu
raushni ban ke har ek rag mein meri bahta hai
husn wo shai hai ki jis ki koi sarhad hi nahin
waqt be-mani hai aur fasla ek dhoka hai
ghaw rahta hai hara Tis ke pahnawe mein
KHwab aur yaad ka ek ek nafas sachcha hai
Nazm
Mahakti hui tanhaiyan
Ashok Lal