shab-e-asia ke andhere mein sar-e-rah jis ki thi raushni
wo gauhar kisi ne chhupa liya wo diya kisi ne bujha diya
jo shahid-e-zauq-e-hayat ho use kyun kaho ki wo mar gaya
use yun hi rahne do hashr tak ye janaza kis ne uTha diya
teri zindagi bhi charagh thi teri garm-e-gham bhi charagh hai
kabhi ye charagh jala diya kabhi wo charagh jala diya
jise zist se koi pyar tha use zahr se sarokar tha
wahi KHak-o-KHun mein paDa mila jise dard-e-dil ne maza diya
jise dushmani pe ghurur tha use dosti se shikast di
jo dhaDak rahe the alag alag unhen do dilon ko mila diya
jo na dagh chehra miTa sake unhen toDna hi tha aaina
jo KHazana luT sake nahin use rahzanon ne luTa diya
wo hamesha ke liye chup hue magar ek jahan ko zaban do
wo hamesha ke liye so gae magar ek jahan ko jaga diya
Nazm
Mahatma-gandhi
Nushur Wahidi