pahle nanw ganesh ka, lijiye sis nawae
ja se karaj sidh hon, sada mahurat lae
bol bachan aanand ke, prem, pit aur chah
sun lo yaro, dhyan dhar, mahadew ka byah
jogi jangam se suna, wo bhi kiya bayan
aur katha mein jo suna, us ka bhi parman
sunne wale bhi rahen hansi KHushi din rain
aur paDhen jo yaad kar, un ko bhi sukh chain
aur jis ne is byah ki, mahima kahi banae
us ke bhi har haal mein, shiw-ji rahen suhae
KHushi rahe din raat wo, kabhi na ho dil-gir
mahima us ki bhi rahe jis ka nam 'nazir'
Nazm
Mahadew-ji ka byah
Nazeer Akbarabadi