magarmachh ne mujhe nigla hua hai
ek janin-e-na-tawan hun
jis ghaDi rakkhi gai buniyaad meri
us ghaDi se
tirgi ke peT mein hun
KHun ki tarsil
aanwal se ghiza
jari hai
kachchi aankh ke aage tani
mauhum si jhilli haTa kar
dekhta hun!
dekhta hun
garm gahre les ke dariya mein
kachhuon, meinDakon
jal-kekDon ke parachon mein
ojhaDi ke khurdure reshon mein
salim hun
nabud o bud ke tarik andeshon mein
bahar kaun hai
jo zat ke is KHema-e-KHakistari ke
peT ke phule hue
gadle ghubare par
azal se kan rakh kar sun raha hai
sar paTaKHne
hath panw marne
karwaT badalne ki sada!
pani ka gahra shor hai
indar bhi bahar bhi
barahna jism se chimTe hue hain
kai ke reze
mujhe phir se janam dene ki KHatir
zachgi ke ek kalawe ne
ugalne ke kisi wade ne
sadiyon se
mujhe jakDa hua hai
man
magarmachh ne mujhe nigla hua hai!!
Nazm
Magarmachh ne mujhe nigla hua hai
Rafiq Sandelvi