sunte hain yaad musibat mein KHuda aata hai
aasra ek yahi majbur ki taqdir mein rah jata hai
khol do band kalisaon ke dar khol bhi do
mana manus nahin hath duaon se duaen mangen
mamlikat par kahin KHurshid na ho jae ghurub
hukm de do ki sabhi apne KHudaon se duaen mangen
ji pe ban jae to zillat bhi uTha lete hain
sunte hain bap musibat mein gadhe ko bhi bana lete hain
nag hai apna muawin to koi baat nahin
kaam lena hai hamein nag KHazane pe biTha lo apne
shahad ka ghunT samajh kar sam-e-qatil pi jao
kisi qimat kisi ujrat pe use sath mila mila lo apne
sara dhan jata hai to nisf luTa dete hain
sunte hain bachche jo chiKHen unhen afyun khila dete hain
sab ko baKHshenge masaib ki salasil se najat
jang laDte hain sadaqat ki, musawat ki elan karo
apni man-mani hi aaKHir mein karenge ab to
dahr ko wada-e-pur-kaif se minnat-kash-e-ehsan karo
nag Dasta hai, use dudh pilao kitna
sukhi bairi se kabhi bair nahin jhaDte, hilao kitna
ahd-e-alam bhi madum, KHuda bhi madum
koi KHadsha nahin phir se sitam-o-jaur ko arzan kar lo
fath ka jashn manana hai magar dhum ke sath
apne ghar husn se ya KHun ki bundon se charaghan kar lo
apne mahkumon ki hasti bhi koi hasti hai
ye to wadon pe bhi ji sakte hain un se nae paiman kar lo
tirgi baDhti hai tufan umaD aata hai
badliyan chha ke barasti hain falak phir se nikhar jata hai
Nazm
Magar-machh ke aansu
Makhmoor Jalandhari