tumhein kuchh KHabar hai
ki jab main nahin tha to tab main kahan tha
main ek mas ban kar kisi saKHt ghere mein jakDa hua tha
main KHunin andheron mein luthDa hua tha
nahin jaanta tha
ki main hun kahan hun
nahin jaanta tha
ki tum ho kahan ho
tumhein kuchh KHabar hai
koi shakl le kar main janma tha jis din
main janma nahin tha
khuli aankh se kitne chehre dikhe the
khuli habs ke karan wo chehra nahin tha
tumhein kuchh KHabar hai
main jis lamhe janma gaya is jahan mein
azan mere kanon mein Dali gai thi
na jaane mujhe kyun sunai na di thi
magar ek gambhir DaDhi chubhi thi
main rone laga tha
mujhe wo azan par sunai na di thi
tumhein kuchh KHabar hai
ki jis lamhe janmi gain tum jahan mein
main tum se bahut dur dasht-e-guman mein
yunhi rote rote jo hansne laga tha
meri wo hansi kya wahan aa rahi thi
tumhein kuchh KHabar hai
kisi hath ki ek halki si dhap ne
rulaya tha tum ko
mere kan mein tab azan aa rahi thi
Nazm
Made For Eachother
Ali Imran