macha kohram kyun hai
ghar badalne par
abhi bhi halke kale
shishe wali
aankh par ainak laga kar
halqa-e-yaran mein wo akasr
chahal-qadmi ko aata hai
sunata hai ghazal apni
kabhi taron ki jhurmuT mein
kabhi raste mein shabnam ke
kabhi KHushbu lapeTe jism par
dil-kash fazaon mein
kabhi be-had chamakti dhup ke
pipal ki chhanw mein
zara sa
chashm-e-baatin ko
munawwar kar ke to dekho
liye dariya ko hathon mein
bahut shadan
bahut farhan
nazar aata hai masnad par
ghazal ki wo
Nazm
Macha kohram kyun hai
Jafar Sahni