KHalwat-o-jalwat mein tum mujh se mili ho bar-ha
tum ne kya dekha nahin main muskura sakta nahin
main ki mayusi meri fitrat mein daKHil ho chuki
jabr bhi KHud par karun to gunguna sakta nahin
mujh mein kya dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagin
main to KHud apne bhi koi kaam aa sakta nahin
ruh-afza hain junun-e-ishq ke naghme magar
ab main in gae hue giton ko ga sakta nahin
main ne dekha hai shikast-e-saz-e-ulfat ka saman
ab kisi tahrik par barbat uTha sakta nahin
dil tumhaari shiddat-e-ehsas se waqif to hai
apne ehsasat se daman chhuDa sakta nahin
tum meri ho kar bhi begana hi paogi mujhe
main tumhaara ho ke bhi tum mein sama sakta nahin
gae hain main ne KHulus-e-dil se bhi ulfat ke git
ab riya-kari se bhi chahun to ga sakta nahin
kis tarah tum ko bana lun main sharik-e-zindagi
main to apni zindagi ka bar uTha sakta nahin
yas ki tarikiyon mein Dub jaane do mujhe
ab main sham-e-arzu ki lau baDha sakta nahin
Nazm
Mazuri
Sahir Ludhianvi