hum sab ki yaadon mein hai ek sabz-daricha
jis mein rakkha hai gul-dan
is gul-dan mein ab tak taza phul saje hain
phulon mein do aankhen hain
jo mazi ki tarik guzargahon mein
jaise shamen ban kar raushan hain
un aankhon aur hum logon mein
ab waqt ka sahra hail hai
dur hain lekin ye aankhen har lamha dekhti rahti hain
hum kaise hain kis des mein hain
kis bhes mein hain kin logon mein hain
kaun hamein KHushiyan deta hai kaun hamein gham deta hai
un se bichhaD ke kis se mile
aur kis se hue hum log juda
dukh mein aur tanhai mein wo kaun tha jis ko yaad kiya
hum roen to aaj bhi jaise ye aankhen ro deti hain
hum KHush hon to ye bhi KHush ho jati hain
in aankhon ka hamein sahaara rahta hai
jaise musafir dasht mein ho
to us ka sathi us par raushan ek sitara rahta hai
lekin hum logon ke dil ye soch ke akasr kanp uThte hain
jab ye aankhen bujh jaengi
sabz-daricha ho jaega band to aaKHir kya hoga
Nazm
Mazi mein rah jaane wali aankhen
Hasan Akbar Kamal