اردو हिंदी
Mazi aur haal | Shaahi Shayari
mazi aur haal

Nazm

Mazi aur haal

Zehra Nigaah

;

mazi
do bachche apne kamre se

taron wale kapDe pahne
mere kamre mein aate hain

mujh se lipaT kar so jate hain
aur meri be-KHwab aankhon mein

nind ki ThanDak bhar jati hai
haal

ghar ki biwi
apni aaya se kahti hai

raat gae mere donon bachche
kyun mere kamre mein aate hain?

mujh se lipaT kar so jate hain
tum aaKHir kahe ke liye ho?

meri KHwab-alud aankhon se
sari nind bikhar jati hai