rah chalte hue ek moD pe dur az ummid
aankh jhapki to mere samne wo shoKH pari-paikar tha
mere pahlu se wo guzra magar is tarah ki chehre pe tha hath
ek miThi si KHalish chhoD gai dil mein ye jaan-soz ada
mawarai saya jalwa jo gurezan hai meri nazron se
meri banhon ki hararat mein kabhi shama ke manind pighal jata tha
qurb ki aanch se ye paikar-e-nur
ishq ki aatish-e-sayyal mein Dhal jata tha
ek shola sa rag-o-pai mein machal jata tha
ye koi dasht-e-tasawwur ka hasin moD na tha
jahan ram-dida ghazalan-e-taKHayyul ne use dekha ho
ye koi KHwab-e-dil-awez na tha
moD ojhal hua nazron se to phir rah wahi log wahi
sirf wo chehra wo aankhen wo KHat-o-KHal na the
jin se baDh kar koi nazron ka shanasa bhi nahin
hae wo lamha-e-paran wo dil-awez ada
yun mile jaise kabhi main ne unhen dekhna chaha bhi nahin
hai riwayat ki KHudawand-e-KHudayan-e-jahan
apni ruyat se musharraf yunhi farmata hai un bandon ko
jo us ki lagan mein shab o roz
hamd o tasbih o sana aur munajat o dua karte hain
sirf ek did ki hasrat mein jiya karte hain
aankhon mein kaT diya karte hain raat
tab kisi lamhe mein wo zat-e-munazzah ki jo hai KHatama-e-jumla-sifat
shola-e-husn-e-azal ruh-e-jahan jaan-e-hayat
subh ke nur ke manind nigahon ko munawwar karta
arsh se farsh pe karta hai nuzul
aur usi lamha wo bad-baKHt wo martazi-e-tasbih-o-ruku-o-sajda
nashsha-e-tishnagi-e-did se chur
KHanqahon ke kisi goshe mein so jate hain
jis tarah hasrat-e-didar mein ek umr guzari hi nahin
aarti jaise kabhi us ki nigahon ne utari hi nahin
aur wo rabb-e-jahan rahat-e-jaan
mawara-e-nigah-e-kaun-o-makan
munh chhupae hue hathon se guzar jata hai
hasrat-e-did dar-o-baam se sar phoDti rah jati hai
Nazm
Mawara
Waheed Akhtar