kisi taswir mein rangon se ubhaare na gae
tere chehre ke dil-awez gulabi haale
mere alfaz ka tarsha hua sang-e-marmar
kaun se but mein tere jism-e-jawan ko Dhaale
teri nau-KHez jawani ke kunware moti
jagmagate rahe wijdan ke aaine mein
ban gae rashk-e-chaman lala-o-nargis ki tarah
dagh aur zaKHm the jitne bhi mere sine mein
teri KHushbu se mahakne laga gulshan gulshan
Daliyan phulon ki jhuk kar tujhe kahti hain salam
gardish-e-waqt ruki jati hai tauba tauba
main ne dekha nahin tujh sa koi aahista-KHiram
ye tera paikar-e-sad-rang ye aahang-e-jamal
dekh kar tujh ko KHayal aate hain kaise kaise
tera chehra hai ki taKHliq-e-mah-o-mahr ka raaz
teri aankhen hain ki asrar-e-do-alam jaise
teri surat teri masum o muqaddas surat
meri har soch ke aaine mein lahraati hai
hae wo sher ki mauzun na hua jo ta-umr
tu usi sher ki tafsir bani jati hai
Nazm
Mawara
Prem Warbartani