jab main aur tu niDhaal ho jate hain
sansen phulti hain
o rahm pahle Dhile aur phir sard paD jate hain
aur hamare chehre apni asli haalat par aa jate hain
to be-iKHtiyar sochta hun
hamara kya hoga agar sath chhuT gaya
tumhaara kya hoga mere baghair
mera kya hoga tere baghair
main to soch bhi nahin sakta
ki to mere jite-ji mar jae
aur na ye soch sakta hun
ki to kaise roegi
agar main tum se pahle mar gaya
hum kitne be-bas aur akele hain
kya ye mumkin nahin ki hum apni jaanen ek hi qalib mein samo len
taki man-o-tu ka jhagDa hi miT jae
hum ek hi shaKH ke do phul hain
hamara mazaq aur mizaj ek hai
hamara lutf-e-badan ek hai
hamara sachcha man ek hai
to phir hum juda kyun ho jaen
koi rasta nahin kya
koi chaara nahin kya
aisi koi surat bana
ki hum do dilon ko dhaDakta
aur dinon ko chamakta rakh saken
aur phir
main shahr-dar-shahr jagta phirun
kucha-o-bazar mein bhagta phirun
aur teri aawaz hamesha aasman ki bulandiyon se
utarti rahe aur zamin ko jagati rahe
aur main mohabbat ke sagar par suron ki darsha karun
jism kitna nahif hai
aur hum is liye is qalib mein Dhaale gae
ki fana ki lazzat se aashna ho jaen
main maut ke bare mein kuchh ziyaada hi sochta hun
jab teri sansen mere shanon par dastak nahin detin
to main kanp uThta hun
main maut ke sukut se Darta hun
magar wo ghaDi aaegi
jab hum mein se ek pahle zamin main utrega
sausan ke safed aur kasni phulon ki chadar oDhe
har taraf se rone ki aawaz aaegi
phir KHamoshi hogi
sukut hoga
aur qabr mein sukut achchha lagega
aur qabr se bahar jise sukut bardasht karne ki saza milegi
is ki haalat kitni bhayanak hogi
ab tu hi bata kya karen
kitni mushkil surat-e-haal hai
ki tere gudaz badan ke lams se aur
tere lafzon ki khan-khanahaT se hi
main teri mohabbat ko samajh sakta hun
badan se pare
sarhad-e-idrak ke us par
main tum tak rasai pane se qasir hun
aur jab jism ka ye rishta TuT jaega
to jahan hum us waqt soch mein gum hain
wahan ek KHali pinjra hoga
Nazm
Matam-e-nim-shab
Farooq Nazki