hamare yahan bachche ko
jo abhi puri tarah khaDa hona bhi na sikha ho
pistol hath mein de di jati hai
do chaar bar use zamin par gira kar
use pistol sambhaalna
aur phir hat ko zara si jumbish se
use ungliyon ke darmiyan
phir ki ki tarah bhi aa jata hai
laDakpan phalangne se pahle
use do ek aadmi girana hote hain
baDe hone par us ke hathon mein
asli banduq
ya machine-gun thama di jati hai
ab us se tawaqqo ki jati hai
ki wo do ek afrad ko girane par iktifa nahin karega
balki kai insanon ke KHun se
apne hath rangega
mujhe e'tiraf hai
hamare yahan
sab log aisa nahin kar pate
kuchh to khilauna pistol hi se
apni na-puKHta umr mein
KHud ko halak kar lete hain
kuchh aise bhi hain
jo sach-much ki pistol ko bhi
khilauna hi samajhte hain
is liye unhen
is liye licence ki zarurat bhi mahsus nahin hoti
jinhen wo halak karte hain
aksar un mein us ke qaribi dost
ya aziz-o-aqarib hote hain
unhen halak karne ke baad
ye dekh kar wo hairan rah jate hain
ki un ke hathon mein
sach-much ki pistol aa kaise gai
aur wo kab se
kisi ke nishane par the
Nazm
Masumiyat
Saeeduddin