kis ne in aahini-darwazon ke paT khol diye
kis ne KHun-KHwar-darindon ko yahan chhoD diya
kis ne aanchal pe mere Dal diye angare
Thik se kaTne bhi na paya tha tauq-e-gardan
abhi to sadiyon ka pamal tha mera KHirman
us pe in wahshi-luTeron ne siyahkaron ne
mere armanon ko taraj kya luT liya
mere masumon ko be-KHana o barbaad kiya
meri bahuon se hawas-KHanon ko aabaad kiya
jal gaya mera chaman luT gaya sab meri bahaar
mere barbat mein koi tar nahin ab sabit
meri chiKHon mein koi dard nahin ab baqi
mere pyaro meri chhati se lipaTne walo
aag wo dil mein lagi hai ki main hi jaanti hun
yun meri kokh jali hai ki main hi jaanti hun
mere bachcho meri namus ke pahredaro
dekho nezon pe tumhaare hain ye kis ki lashen
tum ne KHud luT liya apni hi bahnon ka suhag
mang mein jhonk di sindur ki jagah tum ne aag
sharm se ab to hui jati hai gardan meri KHam
pani pani hua jata hai musawwir ka qalam
ye tera bait-e-muqaddas teri rifat ka mazar
kis ki manhus nigahon ka bana aaj shikar
kya hue mere wo mansube wo KHwab-e-farda
jal gaya mera chaman luT gai sab meri bahaar
mere barbat mein koi tar nahin ab sabit
meri chiKHon mein koi dard nahin ab baqi
Nazm
Man
Wamiq Jaunpuri