barson guzre
kisi jhil mein pankh Duboe hue
sadiyan bitin
sar-e-sahil banh pasare hue
wo man-sarowar
jis mein sahar ki halki miThi dhup bhi hai
peDon ka ghanera saya bhi
aur qul-qul karti KHamoshi
wo jis ki rahen durgam si
ye hans use pa jae agar
sab gard wahin dho aaega
sab dard Dubo aaega wahin
wo jis ki tamanna mein din din
ye pankh bikharte jate hain
ye sans ulajhti rahti hai
Nazm
Man-sarowar
Shahnaz Nabi