pahli bar mein kab takiye par
sar ko rakh kar soi thi
un ke badan ko DhunDa tha aur roi thi
do hathon ne bhinch liya tha
garm aaghosh ki rahat mein
kaisi gahri nind mujhe tab aai thi
kab dur hui thi pahli bar
apne pairon par chal kar
bistar se alag phir ghar se alag
ek lambe safar par nikli thi
apni ungli ko thame
dhire dhire dur hui kab
naram badan ki garmi se
us miThi nind ki rahat se
ab sochti hun aur roti hun
Nazm
Man
Fatima Hasan