man tere bina ab mujhe aaram nahin hai
lagta hai ki duniya se koi kaam nahin hai
gulshan ki bahaaron mein tujhe DhunD raha hun
aakash ke taron mein tujhe DhunD raha hun
lakhon mein hazaron mein tujhe DhunD raha hun
tujh jaisa magar koi bhi gulfam nahin hai
puri na ho hai kaun si insan ki zarurat
lauT aata hai iman palaT aati hai daulat
duniya mein muqarrar hai har ek chiz ki qimat
man teri mohabbat ka koi dam nahin hai
man yaad teri dil se bhulai nahin jati
surat teri aankhon se haTai nahin jati
dil ki wo taDap hai ki dabai nahin jati
KHali teri yaadon se koi sham nahin hai
pardes mein ab kaun tujhe yaad karegi
KHat likkhegi na likkhun to fariyaad karegi
dhamkaegi mujh ko to kabhi shad karegi
man kya hua ab kyun tera hangam nahin hai
Nazm
Man
Suhail Rashid