kalam-e-haidari ki nazr
man kabhi marti nahin hai
KHun hai wo
jism ki rag rag mein har dam maujzan hai
raushni is ke labon ki
is ke beTon
aur phir beTon ke beTiyon ke
shagufta-ariz-o-lab se hamesha phuTti hai
raushni ka ye safar rukta nahin hai
bhai mere
is qadar jal thal na ho to
qabr ki namnak miTTi se ubharti
ek bhar aai hui aawaz san le
mere beTe kya hua jo main nahin hun
teri man ye sarzamin hindostan hai
teri man pyari zaban urdu zaban hai
in ki KHidmat mein nihan izzat hai teri
in ke qadmon ke tale jannat hai teri
Nazm
Man kabhi marti nahin hai
Zaheer Siddiqui