ghuTnon ki piDa mein jag ke sone wali man 
insulin ki goli se KHush hone wali man 
silwaTi hathon se kapDon ko dhone wali man 
papa ki ek DanT se ghuT kar rone wali man 
bachchon se chhup chhup kar rona kaisa hota hai 
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai 
papa ki intelligency tum par bhaari hai 
lekin tum ne prem ki ganga ghar mein utari hai 
bandhna ghar ko ek dhage mein kitna bhaari hai 
is mein tumhaari sarf tumhaari hi hoshiyari hai 
tum ko hai malum pirona kaisa hota hai 
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai 
dakiyanusi kah kar biTiya tum par hansti hai 
tum ko nahin malum ki phabti tum par kasti hai 
sidhi aurat ki bhi upadhi tum ko Dasti hai 
aur tumhaari us ghar mein hi duniya basti hai 
chhat diwaren kona kona kaisa hota hai 
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai 
chhoTi si tanKHwah mein kaise karne hain sab kaam 
kabhi nahin milta hai tum ko mehnat ka inam 
aur nahin hota hai jag mein kabhi tumhaara nam 
dharti-man ke jaise tum bhi karti nahin aaram 
tum ko kya malum ki sona kaisa hota hai 
man ho tum aur man ka hona aisa hota hai
        Nazm
Man ka hona
Zia Zameer

