اردو हिंदी
Man | Shaahi Shayari
man

Nazm

Man

Habib Jalib

;

bachchon pe chali goli
man dekh ke ye boli

ye dil ke mere TukDe
yun roe mere hote

main dur khaDi dekhun
ye mujh se nahin hoga

main dur khaDi dekhun
aur ahl-e-sitam khelen

KHun se mere bachchon ke
din raat yahan holi

bachchon pe chali goli
man dekh ke ye boli

ye dil ke mere TukDe
yun roen mere hote

main dur khaDi dekhun
ye mujh se nahin hoga

maidan mein nikal aai
ek barq si lahrai

har dast-e-sitam kanpa
banduq bhi tharrai

har samt sada gunji
main aati hun main aai

main aati hun main aai
har zulm hua baatil

aur sahm gae qatil
jab us ne zaban kholi

bachchon pe chali goli
us ne kaha KHun-KHwaro!

daulat ke parastaro
dharti hai ye hum sab ki

is dharti ko na-dano!
angrez ke darbano

sahib ki ata-karda
jagir na tum jaano

is zulm se baz aao
barrack mein chale jao

kyun chand luTeron ki
phirte ho liye Toli

bachchon pe chali goli