main bhi baadshah ki hukumat ka
munkir hun
lekin jine ki aarzu mein
roz us ki chaukhaT par
suraj sa ubharta hun
sham sa Dubta hun
ghar mein
elan-e-baghawat ke taur par
biwi bachchon ko marta hun
raat raat jagta hun
Nazm
Mamul
Farhat Ehsas

