yun gardish-e-ayyam hai malum nahin kyun
rindon ka lahu aam hai malum nahin kyun
muflis hai to ek jins-e-faromaya hai la-raib
muKHlis hai to nakaam hai malum nahin kyun
tohmat ke saza-war faqihan-e-haram hain
mulla yahan badnam hai malum nahin kyun
ab KHun ke dhabbe hain mudiron ki qaba par
KHama dam-e-samsam hai malum nahin kyun
KHun-e-rag-e-islam se zahrab o subu tak
ibham hi ibham hai malum nahin kyun
har baat pe tazir hai har qaul pe zanjir!
har shaKH pe ek dam hai malum nahin kyun
jamhur ki yalghaar se har qasr-e-shahi mein
kohram hi kohram hai malum nahin kyun
Nazm
Malum nahin kyun
Shorish kashmiri