ab sitaron mein jawani nahin raqsan koi
chand ke nur mein naghmat ke sailab nahin
dil mein baqi nahin umDa hua tufan koi
ruh ab husn uchak lene ko betab nahin
ab farozan si nahin qaus-e-quzah ki rahen
inhi rahon se ufuq par se ghum aate the
muntazir ab nahin fitrat ki gulabi bahen
hum jinhen ja ke shafaq-zar se chum aate the
ab ghaTaon mein nahin hausle rindana se
ab fazaon mein hain walwale diwana se
ruh ehsas ki talKHi se bujhi jati hai
aise mahaul ke zindan se riha kar mujh ko
wahi pahle se hasin KHwab ata kar mujh ko
Nazm
Mahaul
Nazeer Mirza Barlas