isi rawish pe hai qaim mizaj-e-dida-o-dil
lahu mein ab bhi taDapti hain bijliyan ki nahin
zamin pe ab bhi utarta hai aasman ki nahin?
kisi ke jaib-o-gareban ki aazmaish mein
kabhi KHud apni qaba ka KHayal aata hai
zara sa waswasa-e-mah-o-sal aata hai?
kabhi ye baat bhi sochi ki muntazir aankhen
ghubar-e-rahguzar mein ujaD gai hongi
nazar se TuT chuke honge KHwab ke raste
wo mahtab si ninden bichhaD gai hongi
niyaz-e-KHwajgi o shan-e-sarwari kya hai
shiar-e-mushfiqi o tarz-e-dilbari kya hai
ye be-ruKHi ye ada-e-sitam bhi puchhenge
hamari umr ke ho lo to hum bhi puchhenge
Nazm
Mah-o-sal
Mustafa Zaidi