KHalaon ke andhe musafir se puchhen
wo ek zarra-e-KHak se TuT kar dur la-intiha wusaton aur
be-samt rahon ki pur-haul KHamoshiyon mein
bhaTakta phira tha
hawaon ke rahwar par barq-raftar sadiyan guzarti rahin
us ki rahon mein pal bhar ko aahaT na aai
zamin aatishin goya chaugan KHala mein luDhakti hui
yun hi be-muddaa raqs karti hui
batn-e-KHurshid se aag ke surKH dhabbe ki surat nikal kar
KHala ke andhere samundar mein Dubi
phir aahista aahista tarik hone lagi thi ki andha musafir
uchhal kar kisi samt-e-be-nam ko chal daya tha
phir ab tak alag un ke mehwar alag un ki rahen
zamin bhi andheri
musafir bhi be-nur
lekin use kya pata tha ki ek din zamin
sari gahraiyan paT kar aa milegi
to aflak ke andhe rah-rau se puchhen
ki ye lamha-e-wasl kah
tujh ko kaisa laga hai
Nazm
Mah-e-munir
Shamsur Rahman Faruqi