unchi piDhi par baiThi
bartawa karti
chaukas aankhen
ho ke jaisi bhuk se laDti
roTi toDte hathon ko tahzib sikhati
chuske leti jibhon ko ek had mein rakhti
pyas bujhane ke aadab batati aankhen
bachhon se bahti KHwahish ko ponchhne wali
nazron mein halkore lete lalach ko chimTe mein bhar ke
jalti aag mein jhonkne wali
nanhe hathon se chipki chhina-jhapTi ko
mamta ke pani se dhone wali aankhen
kis kajal ko pyari ho gain
bachche mil kar khana-pina bhul gae hain
Nazm
Maen buDhi hona bhul chuki hain
Hamida Shahin