اردو हिंदी
Mader-e-watan ka nauha | Shaahi Shayari
mader-e-watan ka nauha

Nazm

Mader-e-watan ka nauha

Himayat Ali Shayar

;

mere badan par baiThe hue gidh
mere gosht ki boTi boTi noch rahe hain

meri aankhen mere hasin KHwabon ke nasheman
meri zaban moti jaise alfaz ka darpan

mere bazu KHwabon ki tabir ke zamin
mera dil jis mein har na-mumkin bhi mumkin

meri ruh ye sara manzar dekh rahi hai
soch rahi hai

kya ye sara khel-tamasha
(KHun-KHwaron ke dastar-KHwan pe mera lasha)

lazzat-e-kaam-o-dahan ke liye tha