sehan mein phaili hai
talKH-tar raat ki rani ki mahak
kamra-hairat mein
KHwab ki shahzadi
baal bikhrae mere sine par
kab se ek KHwab-e-abad mein gum hai
lams ki aankhon mein
qaus-dar-qaus tilismat ajab zinda hain
jhaD chuka hai lekin
jism ki shaKH se chehre ka phul
zist ke jauhaD mein
KHwahish-e-dariya ke
ek amr lamhe ko
sochne ki ye saza kuchh kam hai
ki jali harfon mein
likh chuka hai koi
tira-o-tar azal ke kisi pas-e-manzar mein
jashn-e-nauroz pe mamul ki ek maut
hamari KHatir
Nazm
Maani ki talash mein marte lafz
Saeed Ahmad