main ne apne likhne paDhne ke kamre mein
qalam bina ek nazm likhi hai
nazm ko main ne
kuchh aise tartib diya hai
sab se pahle Tuk Tuk karti
ek ghaDi hai
phir hai calendar
is ke baad hai
pital ki ek shama-dani aish-tray
phir beijing sham aur singapore ki
chini aur tanbe ki plaTen
phir thoDi si jagah bana ke
shishe ka gul-dan rakha hai
us se aage
musawwiri aur theTar par
do tin kitaben
wahin pe tirchhi kar ke rakhi
qulqul karti ek surahi
sab ke bich mein nanha sa
ek joker bhi hai
ye meri wo pahli nazm hai
jis mein koi lafz nahin hai
bas paikar hain
meri pahli nazm hai
jo qari aur samea
donon se aazad hui hai
aankhon ki hamraaz hui hai
Nazm
Ma-baad jadid
Zubair Rizvi