hamare ganw ka luhaar ab darantiyan bana ke bechta nahin
wo jaanta hai fasl kaTne ka waqt kaT gaya saron ko kaTne ke shaghl mein
wo jaanta hai banjh ho gai zamin jab se le gae naqab-posh ganw ke maweshiyon ko shahr mein
jo barmala sadaen de ke KHushk KHun bechte hain be-yaqin bastiyon ke darmiyan
udas dil KHamosh aur be-zaban kabaD ke hisar mein siyah koelon se guftugu
tamam din guzarta hai sochta hai koi baat ruh ke sarab mein
kuredta hai KHak aur DhunDta hai chup ki wadiyon se surKH aag par wo zarb
jis ke shor se luhaar ki samaaten qarib thin
bajae aag ki lapak ke sard rakh uD rahi hai dhunkni ke munh se
rakh jis ko phankti hai jhonpaDi ki KHastagi
siyah chhat ke na-tawan sutun apne aankaDon samet piTte hain sar
hararton ki bhik mangte hain jhonpaDi ke baam o dar
jo bhaTTiyon ki aag ke haris the
dhuen ke daeron se khinchte the zindagi
magar ajib baat hai hamare ganw ka luhaar jaanta nahin
wo jaanta nahin ki baDh gai hain saKHt aur tez dhaar KHanjaron ki qimaten
so jald bhaTTiyon ka peT bhar de surKH aag se
Nazm
Luhaar jaanta nahin
Ali Akbar Natiq