udasi baat karti hai kisi anjaan boli mein
sukun ka phul dil ke shaKHchon se toD leti hai
ye nindon ko uTha leti hai aankhon ke kaToron se
kabhi khoi hui yaaden kahin se khoj lati hai
bahut si an-kahi baaten kahin se gher lati hai
hatheli par saja lati hai wo sukhe hue patte
rachi hai jin ke reshon mein koi bhuli hui KHushbu
likhe hain jin pe guzre mausamon ke dil-nashin lamhe
purane se purana qufl pal mein khol deti hai
udasi ja utarti hai
badan ke un jaziron par
jinhen viran rakhna ho
udasi TimTimati hai
lahu ke un ilaqon mein
jinhen tarik rakhna ho
Nazm
Lughat mahdud hai
Hamida Shahin