اردو हिंदी
Lori | Shaahi Shayari
lori

Nazm

Lori

Kafeel Aazar Amrohvi

;

ai mere nur-e-nazar laKHt-e-jigar jaan-e-sukun
nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja

aaise bad-baKHt zamane mein hazaron honge
jin ko lori bhi mayassar nahin aati hogi

meri lori se teri bhuk nahin miT sakti
main ne mana ki tujhe bhuk satati hogi

lekin ai meri umidon ke hasin taj-mahal
main teri bhuk ko lori hi suna sakti hun

tera rah rah ke ye rona nahin dekha jata
ab tujhe dudh nahin KHun pila sakti hun

bhuk to tera muqaddar hai gharibi ki qasam
bhuk ki aag mein jal jal ke ye rona kaisa

tu to aadi hai isi tarah se so jaane ka
bhuk ki god mein phir aaj na sona kaisa

aaj ki raat faqat tu hi nahin teri tarah
aur kitne hain jinhen bhuk lagi hai beTe

roTiyan band hain sarmae ke tah-KHanon mein
bhuk is mulk ke kheton mein ugi hai beTe

log kahte hain ki is mulk ke ghaddaron ne
sirf mahngai baDhane ko chhupaya hai anaj

aaise nadar bhi is mulk mein so jate hain
hal chalae hain jinhon ne nahin paya hai anaj

tu hi is mulk mein nadar nahin hai so ja
ai mere nur-e-nazar laKHt-e-jigar jaan-e-sukun

nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja