main apne aap ko
ek lohe ke libas mein pata hun
shayad kabhi
ye koi zirah rahi ho
lekin ab ye meri qabr hai
main apne tahaffuz ke muamle mein
bahut mohtat raha hun
aur ab
ek lohe ke libas mein
ghuT kar mar raha hun
ye libas
mujhe bahut se hathiyaron ki mar se mahfuz rakhta hai
ye mere badan par
na tang hai
na Dhila
albatta main is libas mein
chal phir nahin sakta
bahar se
is ka jaeza nahin le sakta
na uTh kar khaDa ho sakta hun
lohe ke libas mein
aadmi baDa mahfuz rahta hai
wo tamam shahr ko
apne samne jalta
aur tamam logon ko marta dekh sakta hai
lohe ke libas mein aadmi
kisi ki ibaadat nahin kar sakta
kisi ka hath nahin tham sakta
lohe ke libas mein aadmi
zindagi par
thuk nahin sakta
Nazm
Lohe ka libas
Saeeduddin