log puchhenge kyun udas ho tum
aur jo dil mein aae so kahiyo!
'yunhi mahaul ki girani hai'
'din KHizan ke zara udas se hain'
kitne bojhal hain sham ke sae
un ki babat KHamosh hi rahiyo
nam un ka na darmiyan aae
nam un ka na darmiyan aae
un ki babat KHamosh hi rahiyo
'kitne bojhal hain sham ke sae'
'din KHizan ke zara udas se hain'
'yunhi mahaul ki girani hai'
aur jo dil mein aae sau kahiyo
log puchhenge kyun udas ho tum?
Nazm
Log puchhenge
Ibn e Insha