log kahte hain ki parbat se nikal kar chashme
kisi khoi manzil ki taraf bahte hain
aur sar-e-sham hawa un ke liye chalti hai
jin ke mahbub bahut dur kahin rahte hain
koi paigham nahin jis ki tawaqqoa ho mujhe
kis liye gosh-bar-awaz hun malum nahin
jo kabhi dil mein tamanna thi wo aaghosh mein hai
ab kidhar mail-e-parwaz hun malum nahin
nahin malum ki us gham ki haqiqat kya hai
ashk ban kar meri aankhon se baha jata hai
lab pe aata nahin wo jazb-e-betab magar
git banne ke liye dil mein raha jata hai
Nazm
Log kahte hain
Saifuddin Saif