log aurat ko faqat jism samajh lete hain
ruh bhi hoti hai us mein ye kahan sochte hain
ruh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin
wo to bas tan ke taqazon ka kaha mante hain
ruh mar jate hain to ye jism hai chalti hui lash
is haqiqat ko na samajhte hain na pahchante hain
kitni sadiyon se ye wahshat ka chalan jari hai
kitni sadiyon se hai qaem ye gunahon ka riwaj
log aurat ki har ek chiKH ko naghma samjhe
wo qabilon ka zamana ho ki shahron ka riwaj
jabr se nasl baDhe zulm se tan mel karen
ye amal hum mein hai be-ilm parindon mein nahin
hum jo insanon ki tahzib liye phirte hain
hum sa wahshi koi jangal ke darindon mein nahin
ek bujhi ruh luTe jism ke Dhanche mein liye
sochti hun main kahan ja ke muqaddar phoDun
main na zinda hun ki marne ka sahaara DhunDun
aur na murda hun ki jine ke ghamon se chhuTun
kaun batlaega mujh ko kise ja kar puchhun
zindagi qahr ke sanchon mein Dhalegi kab tak
kab talak aankh na kholega zamane ka zamir
zulm aur jabr ki ye rit chalegi kab tak
Nazm
Log aurat ko faqat jism samajh lete hain
Sahir Ludhianvi