likhna jo chahta tha wo likkha nahin gaya
nindon mein KHwab miT gae
alfaz kho gae
ek KHamoshi ka peD mere dil mein bo gae
barish mein bad-hawasi ke
sare nuqush harfon ke dhundla ke bah gae
aansu ne jo bhi dekha tha us ko miTa diya
dil ne hawas ki aag ko sari jala diya
koi na rang-o-rup
dil-e-dard ke qarib
aasha bhi miT gai hai nirasha bhi miT gai
dil mein koi bhi zauq-e-tamasha nahin rahe
apne liye to koi bhi achchha nahin rahe
manzar nahin rahe hain to aankhen nahin rahin
KHamosh hai zaban ki baaten nahin rahin
sab para-para ho gaya kis iftiraq mein
KHali makan sa hai kahan darmiyan mein
kuchh zehn mein nahin hai main likkhun to kya likhun
sare nuqush ghire hain qadam main kahan rakhun
koi rasta nahin hai main kis samt mein chalun
manzil dikhai de to main us ki taraf baDhun
aawaz kho gai ki izhaar main karun
ji chahta hai chullu bhar pani mein hi marun
koi rasta nahin hai
batao main kya karun
likhna jo chahta tha wo likkha nahin gaya
kya qabr mein sunaunga unhen main dastan
munkir-nakir ko main
bulaun na kyun yahan
wo lafz sath le ke aaen
to main likkhun
ek aisi nazm jo ho hikayat nai nai
ban jae jis se meri bhi qismat nai nai
aaina-e-jamal-e-huwaida ko kya hua
dida ki raushni ko nazara ko kya hua
sab kho gae hain danish o binish kahan chalen
ab waqt hi nahin hai ki dil ko sameT len
sab kuchh udhaar khaya tha kaise ada karen
is nafs kar swad mein ji kar bhi kiya karen
dariya kinare jaen wahan Dub maro hain
phir is ke baad hoga kya
magar fan hum ko kuchh nahin
han jaante hain
dur ki ganw ke kanar
uglegi rasta ho ke bahut yaad-e-be-karan
hathon mein apni pas se kami laegi bahaar
ghabra ke sare ganw ke basi pukarenge
julusi jalao nak ke kiDe sidhaarenge
phir chalo chalo
lakDiyon ke Dher par hamein
karenge sawar wo
ki ban ke phir
aag ke nisar
jab rakh apni dariya mein phir se bahaenge
sahil ki miTTi mein nae gul muskuraenge
kheton mein taza buTe
nae paude
phir se ubhar aaenge
shayad ki KHatm ho na kabhi bhi ye silsila
kitna bhi tum pukaro use der der tak
kitni hi kar lo baiTh kar tum nai dua
gar aasan hota wo sunna
tumhaari nida
karta koi dawa
hota na saneha
har har qadam pe karte
sajda har kahin
is zindagi ka hota
har ek lamha jaan-fiza
har pal mein nur hota
sunsan wadiyon mein
chamakta ye qafila
aur phailti zamin par
is nur ki naha
har samt chand hota
har ek samt aaftab
phir paikaron mein Dhal ke har ek KHwab
aate hi mere ru-ba-ru
naya sa qalam koi
chalte hum is ke sath bahut dur par kahin
phir likhte dastan-e-wajud-o-adam kahin
rukta na phir kahin bhi
hamara qalam kahin
likhna jo chahta tha wo likha nahin gaya
Nazm
Likhna jo chahta tha
Khaleel Mamoon